posted on : 10 October 2008
hum is safar mein
jeene ka bahana dhoondte hain
har qila fatah karke
kuch naye qile dhoondte hain
aadha safar hi hua hai abhi
har kalpana ko sach kiya hai abhi
har chhote chhote sapne ko
jee bhar ke jiya hai abhi..
safar ka agla padhav shuru hone ko hai
bas disha ka pata nahi
uske milne ki khwahish mein
patvaar paani pe rakhke khadhe hain abhi
koi awaaz kahin se aaye
jo yeh bataye
ki chale aao, yehi hai sabse sahi
aur hum nikal padhen fir naye safar pe
fatah to hogi hi
woh to hamari fitrat hai
bas kuchh chhuti hui dishaon ka
hoga thoda gumaan
No comments:
Post a Comment