posted on : 25 January 2008
Geela mann shayad bistar ke paas padha hai..
Aadhe gile aadhe sukhe...
--------------------------------------
Raat ko andhere ke shor mein
Mai jab gungunati hun
Hawa ka har kona chorus mein gaata hai
Aur mere tute hue sur
ek bandish ban jaate hain..
khuda kaun, to pata nahi
par woh chup chap sunta rahta hai
shayad kisi sur mein taan bhi mila deta hoga
isilye raat ke geet kuchh paak sunai dete hain..
mai har din iss raat ka intezaar karti hun
nashe mein hone ka gumaaan rakhti hun
koi yeh na soche maine nasha shuru kar diya
bas zindagi ke nashe mein jeeti hun..
din se raat, raat se din
ka safar bhi
mujhe heraan karta hai..
ghadi ki har tik tik mein
zindagi ka safar dikhai deta hai..
gar jo yeh ghadi ruk jaye
mai sanson se unhe badha dungi,
har lamha isme mera hai
kuchh lamhe unme badha lungi..
No comments:
Post a Comment